Thursday, January 7, 2010

2010 Commonwealth Games - in Dilli

Commonwealth ka samay hai aaya
Dher si khushiyan sang hai laaya..............

Khushi se sang aayi jimmedaari
Karni hai abhi dher taiyari

Stadium , pul aur sadak banana
Dilli ko hai abhi khoob sajana

Duniya bhar se log aayenge
Kaise kaise sapne layenge

Sapne unke sach banaye
Aao sarkaar ka haath bataye

2010 ka October mahina
Khiladiyo ka jam ke bahe paseena

Teer talwaar aur mukko ki baazi
Khabar banegi roz nayi aur taazi

Apne vir bhi maidan utrenge
Doosre khiladi ko aundha patkenge

Record tootenge roz nit naye poorane
Drishya dekhenge hum sab milke suhane

Bindra pe hongi sabhi nigahein
Ek baar fir wo itihaas dohrahe

Rathore bhi apna kuch kar dikhyega
Is baar wo awwal ayega

Saniya ka loha sab manege
Sabko hara sakti hai ye janenge

Arey ! shera ki to hum bhoole kahani
Wohi toh karega khelo ki agwani


Alag alag hai praant hamare. Alag alag hai apni bhaasha
Sab sanjoye hue hai ek hi sapna , sab lagaye hai ek hi aasha

Desh na naam roshan ho jaye ,
khelo ko hum itna safal banaye

athiti ka satkar kare hum aur kare sab yahi kamna
Hum bhi jeete wo bhi jeete , jeet jaye khelo ki bhawna

2 comments:

Unknown said...

WOW Great thought....ap jaise nau jawan hi es desh ki unati karengey....manngaey apko aur apkey thought process ko.....


Really good blog......


Keep it up

Shweta

Unknown said...

Hi!

Excellent one....