Wednesday, January 6, 2010

Dilli Ki Sardi.......

na hote thande bistar , na hoti garm razai , na koi shararat hi hoti
roz subah kaam pe jane ka dil jo nahi hota, aur jhoothmooth ki hararat na hoti
na nahate yu hum garm garm paani se itne itminaan se
na pahen ke nikalte ghar se topi muffler itni shaan se
na khate moongfali gajjak rewri itne armaan se
na hota naachna gana lohri pe yu dilo jaan se
ye zindagi ki khushiyan inhi chhoti chhoti bataon mein band hai
khush naseeb hai hum sab dilli wale ki apne yaha aaj itni thand hai

6 comments:

Unknown said...

Hi,

Good beginning! Awaiting more from you!!! Keep it up.

Unknown said...

good one... i never knew you can write so well... keep it up & post some more nice ones

Unknown said...

Nice try.....It is good.
one more addition to Poet list.
waiting for next poetry....:)

Unknown said...

Great!
keep it up

Unknown said...

janab..........

ye shero shayri ka shok kab devlope hua................hamne pichle 3 saalo mai to aapke ye karte nahi dekha.........

kya ye koi nayee dosti ka asar hai kya?

harpreet said...

kya baat hai sir ji , lohro diya lakh lakh wadiyagood akhir shayar bahar aa reha hai do keep writing